Saturday 20 May 2017

Sufi Kalam..Jee Chahay To Sheesha Bn Ja, Jee Chahay Paimana Bn Ja

Ji chahay to sheesha bn ja
Ji chahay paimana bn ja
Sheesha, paimana kia bn'na
May bn ja, may'khana bn ja
May bn kr, may'khana bn kr
Masti ka afsana bn ja
Masti ka afsana bn kr
Hasti se begana bn ja
Hasti se begana hona
Masti ka afsana bn'na
Is honay se, is bn'ny se
Acha hai dewana bn ja
Dewana bn janay se bhi
Dewana hona acha ha
Dewana honay se acha
Khak-e-dar-e-janana bn ja
Khak-e-dar-e-janana kia ha
Ehl-e-dil ki ankh ka surma
Sham'a k dil ki thandak bn ja
Noor-e-dil-e-parwana bn ja
Seekh zaheen, k dil se jalna
Kaahay ko hr sham'a peh jalna
Apni aag me khud jal jae...
Tu esa parwana bn ja
Apni yad me khud jal jaye...
Tu esa parwana bn ja...

Thursday 9 February 2017

Another Beautiful Poem by Jon Elia

Ganwaii kis tamana mein zindagi mein ne
Wo kaun hai jissay dekha nahi kabhi mein ne

Tera khayal to hai per tera wajood nahi
Tere liye to ye mehfil sajai thi mein ne

Hai meri zaat se mansoob sadd-fasaana-e-ishq
Aur ek satar bhi ab tk nahi likhi mein ne

Khud apnay ishvaa-o-andaaz ka shahid hoon mein
Khud apni zaat se barti ha be-rukhi mein ne

Gham-e-sha'oor koi dum to mujh ko mohlat day
Tamam umar jalaya ha apna jee mein ne

Elaaj ye hai keh majboor kr dia jaoun
Wagarna yun to kisi ki nahi suni mein ne

Raha mein shahid-e-tanha nasheen-e-masnad-e-ghum
Aur apne karb-e-anaa se gharaz rakhi mein ne

Saturday 31 December 2016

mohabbat

wafaien mangtay phirtay hain fakeeroun ki tarha
ajeeb log hain kehtay hain mohabbat ki ha

Wednesday 5 August 2015

Jaane kis raah se aa jaye woh aaney wala,
Hum ne har simt se deewaar giraa rakhi hai.

Dard Phail Jae To Aik Waqt Ata Hai

Dard phail jaye to,
Aik waqt aata hai,
Dil dharakta rehta hai,
Aarzu guzeedon k hausle nahi chalte,
Dasht-e-beyaqeeni main aasray nahin chalte,
Raah’rawon ki aankhon main manzilen na jab tak hon,
qafiley nahi chalte!
Aik zara tawajah se dekhiye to khulta hai
Log un pe chalte hain,
rastey nahi chalte,
Sochne samajhne se,
sath sath chalne se,
Duriyan simatti hain,
fasiley nahi chalte,
Khwab khwab aankhon main rat’jage nahi chalte,
Darguzar k halqey main masley nahin chalte,
Do dilon ki qurbat mei teesra nahi hota,
Waastey nahin chalte,
Bakht saath chalta hai taley aazmaaon ke,
Waqt raam karney main,
tajziyon ke daao kya,
Tajrubae nahin chalte,
Ishq k ilaaqae main hukm-e-yar chalta hai,
Zabitae nahi chalte,
Husn ki adaalat main,
aajizi to chalti hai,
Martabey nahi chalte,
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai,
Silsilae taaluq ke khud se ban to jaate hain,
Lekin in shagufon ko tutnae bikharnae se rokna bhi parta hai,
Chahaton ki mitti ko, aarzoo k podoon ko seenchna bhi parta hai,
Ranjishon ki baaton ko bhulna bhi parta hai..

Friday 31 October 2014

Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani shamein,
Phir us ki yaad main jalne ke zamaane aaye..
Ab to mehfil se bhi hota nahi gham ka ilaaj,
Pehle tanhaayi bhi dukh baant liya karti thi..