Friday 20 January 2012

Agr Kabhi Koi Lamha Aisa Zakhm De Jaye...

Agar kabhi koi lamha
Aisa zakhm de jaye
K koi bhi marham us
Zakhm ko na bher paye
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
Zindgi k sub mausam
Aik se nahi hote
Saray log ay humdum
Aik se nahi hote
Zindgi ki rahon main
Hadsey bhi atey hain
Hadson se barh ker kuch
Waaqay bhi atay hain
Waqt k hi marhum se
Zakhm bher bhi jatay hain
Din buray hon ya achay
Bus guzer hi jatay hain
Waqt ko guzerna hai
Zakhm ko bhi bherna hai
Dard k charhay derya
Ko abhi uterna hai
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona

Sunday 15 January 2012

Kal Halki Halki Baarish Thi...

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY