Monday 21 October 2013

Romantic Two-Lined Urdu Poetry (Part 2)

Tujhay mohtaat karta hoon, Teri mein jaan ley loon ga...
Agar in jheel aankhoun ko kabhi phir numm liya tu nay...!

....................

Ada Qatil! Nigah Qatil! Zuba'n Qatil! Bayan Qatil!
Bata Qatil, Kahan Jaaun? Jahan Jaaoun Wahan Qatil!

....................

Darta hoon kehne se ke mohabbat hai tumse,
Meri zindagi badal de ga, tera iqrar bhi, inkaar bhi.

.........................

Be’khud huye hain woh itne, pyar kartey kartey,
Iqraar kar gaye hain, inkaar kartey kartey..

....................

Ik lafz mohabbat ka adna’aa sa fasaana hai,
Simttay to dil-e-aashiq, phailay to zamana hai..