Thursday 29 November 2012

Be-Qaraar Mausam Main Yaad K Jharokoun Se...

Be-Qarar Mausam Main 
Yaad k 
Jharokoun Se
Phir Tum Hi Se Milne Ki, 
Dil Main 
Kitni Khwahish Hai

Aaj Kal November Ki 
Phir Udaas Shaamein 
Hain
Aur December k 
Aanay Main 
Waqt Thora 
Baqi Hai

In Ujaar Aankhoun Main

Zard Zard 
Raatein Hain
Is Sard Mausam Main
Toot Phoot 
Jatay Hain
Jab bhi 
Yaad Aatay Ho
Khud ko
Bhool Jatay Hain...

Wednesday 28 November 2012

Chaley Aaye ho Tum kiya Khojne Be-jaan Aankhon Main…

Kahan wo shokhiyaan pehle si, ab kuch bhi nahi baqi,
Chaley Aaye ho Tum kiya khojne be-jaan aankhon main…

Tuesday 27 November 2012

Tere Khamosh Honton Par Mohabbat GunGunati Hai...!!

Tere Khamosh Honton Par Mohabbat GunGunati Hai...!!

Tu Mera Hai, Main Teri Hoon, Bus Yehi AawaZ Aati Hai...♥

Tuesday 20 November 2012

Tumhein Haq Hai...

Aadat Uski Mujhe Achhi Lagti hai Jab Yun Hi..

Nazrein Jhuka KAr Wo Kahti Hai,Tumhein Haq Hai..♥

November PHIR UDAAS HAI,

Ajnabi si raahon mein,
Door tak nigahon mein,
Berukhi ka mausam hai,

Aaj phir nigahon ko,
Beete pal ki pyaas hai,

Phir rahi hoon darbadar,
Mojzay ki aas hai,
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAI,

Baat to kare koi,?
Saath to chale koi,?
Khamoshi ka pehra hai,?
Zakhm dil ka gehra hai,?
kisi apne ki mujhe talaash hai,..?
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAi…!

Main nay seekhay hain mohabbat se mohbbt k usool

Mein nay seekhay hain mohabbat se mohabbat kay usool
Sab say mushkil hai kisi apne ko apna krna!!

Monday 19 November 2012

Sunday 18 November 2012

Yun Bhi Karta Hai Koi Chahnay Waloun Pe Sitam...

Yoon bhi krta hai koi chahny walo pay sitam. . .
Na ishara, na kinara, na inayat, na salam. . . ! ♥

A Beautiful Poem by Jaun Elia


Rishta-e-Dil tere zamaane mein

Rasm hi kya nibahni hoti
Muskuraaye hum us se miltay waqt
Ro na paRtay agar khushi hoti?

Meri aql-o-hosh ki sab haalatein 

Tumne saanche mein junoo'n kay Dhaal deen
Kar liya tha main nay ehd-e-tark-e-ishq
Tumne phir baahein gale mein Daal deen

Sharm, dehshat, jhijhak, pareeshani

Naaz se kaam kiun nahin letin
“Aap”, “Woh”, “Ji”,”Magar” yeh sab kya hai
Tum mera naam kyun nahin letin

Hai mohabbat hayaat ki lazzat

Warna kuchh lazzat-e-hayaat nahin
Kya ijazat hai aik baat kahun
Woh…Magar khair koi baat nahin

Ehd-e-waabastagi guzaar kay main

Wajh-e-waabastagi ko bhool gaya
Yaani tum woh ho! Waaqai? Had hai!
Main to sach much sabhi ko bhool gaya!

Ajab tha us ki dildaari ka andaaz

Woh barson baad jab mujhse mila hai 
Bhala main poochhta us se to kaise
Mataa-e-jaan tumhara naam kya hai?

Saal-ha-saal aur aik lamha

Koi bhi to na in mein bal aaya
Khud hi ik dar pe main ne dastak di
Khud hi laRkha sa main nikal aaya


Hai yeh baazaar jhoot ka baazaar 
To yahi jins kiun na tolein hum
Kar kay ik doosray se ehd-e-wafa
Aao kuchh dair jhooT bolein hum

Jaun Elia

Friday 16 November 2012

Wednesday 14 November 2012

Tuesday 13 November 2012

Saturday 10 November 2012

Friday 9 November 2012

Two Line Urdu Poetry...


Itna socha hai tujhy sham-o-sehar
,
Khud pr tere hone ka guman hota hai.


..............


Toot kar bhi dharakta rehta hai,

Dil sa koi wafadaar nahi dekha.



................


Taaqat-e-fariyad bhi mujh main na baaqi reh gayi,

Zulm karna aap ko mujh per ab asaan ho geya.

Wednesday 7 November 2012

Kuch Waqt Ki Rawani Ne Humein Yun Badal Dala...

Kuch waqt ki rawani nay humein yun bdal dala!
Wafa par ab bhi qaim hain mgae Mohabbat chorr di hum nay!!!

Tuesday 6 November 2012

Monday 5 November 2012

Saturday 3 November 2012

ZID


Tumhein zid hai k mein keh dun

Mujhe zid hai k tum keh do

Mujhe tum se muhabbat hai

Kaho mujh se mohabbat ha

Nahein jantay ye dono

Mohabbat kab mohtaj hai lafzoun ki, baatoun ki

Mohabbat to humari dharkaonun ke saaz mein shamil

Sureelay geet ki manind

Mohabbat yaad ki devi

Jo tanha raat ko aksar ati hai aankhoun mein

Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk se hontoun mein

Mohabbat sandali haathoun ki nazuk larzishoun mein hai

Mohabbat soch ki gehraiyun se phhootti kushbu!

Hamesha saath rehti hai

Mohabbat aankh mein palta woh pur.asraar jazba!

Jisay ab tk nahein koi samjh paya

Na is ki koi soorat hai,

Na is ka koi paimana!

Dhakay ilfaaz mein iska bohat izhaar hota hai

"Tehe dil" se to hum dono iqrar kartay hain

Magar phir bhi najany kyun!

Tumhe zid hai k mein keh dun

Mujhe zid hai k tum keh do

MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI

KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI...