Wednesday 30 May 2012

Jo Chala Gya Woh Chala Gaya

Jo apna daaman smait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya


Jis nay murr k daikha na meri soo bus ik simt ko chal para
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya


Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya


Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya


Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya


Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya


Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya


Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya

Tuesday 29 May 2012

2 Line Urdu Poetry

Gham-e-ishq ne kiya hai nidhaal itna!!
Nabz chalti ha to dukhti hai kalai meri..

...................................................................

Koi zanjeer nahi, phir bhi giraftar hoon mein!
Kia khabar thi k tujhe yeh hunar bhi ata ha...


...................................................................

Kaash woh laut aye mujh se ye kehnay..
Keh tum kaun hotay ho mujh se juda honay walay?!

Thursday 3 May 2012

Bhool jayen to aaj behtar hai
silsile qurb ke judaai ke
bujh chuki chahaton ki qandeelen
jal chuke shahr aashnaai ke
rayegaa'n sa'aton se kya lena
...
zakhm hon, phool hon sitaare hon
mausamon ka hisaab kya rakhna
jisne jaise bhi din guzaare hon
zindagi se shikayaten kaisi
ab nahi hain, agar gile the kabhi
bhool jayen ke jo hua so hua
bhool jayen ke ham mile the kabhi
Aksar auqaat chaahne par bhi
faaslon me kami nahi hoti
baaz auqat jaane walon ki
waapsi se khushi nahi hoti...!!!