Friday 31 October 2014

Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani shamein,
Phir us ki yaad main jalne ke zamaane aaye..
Ab to mehfil se bhi hota nahi gham ka ilaaj,
Pehle tanhaayi bhi dukh baant liya karti thi..

Saturday 28 June 2014

Nahi hota kabhi jo raabta uss se mera
Main khud me doob jata hoon
Woh mujh ko mujh mein milta hai...
Tujhe sochoun to sarak jata hai pehlu se dil...
main dil pe hath rakh k dharkanein tarteeb deta hun!
Mere labb uss kay taqadus mein hiltay hi nahi...
Uss say kaho meri aankhoun mein izhar-e-muhabbbat dekhay!