Tuesday 23 August 2011

Ishq

Kahin ishq ki dekhi ibtida,
Kahin ishq ki dekhi intiha,

Kahin ishq sooli pe charh gaya,
Kahin ishq ka nezy pe sar gaya,

Kahin ishq sajdy mein gir gaya,
Kahin ishq sajdy se phir gaya,

Kahin ishq dars-e-wafa bana,
Kahin ishq husn-e-ada bana,

Kahin ishq ne sanp se daswa dia,
Kahin ishq ne namaz qaza kia,

Kahin ishq saif-e-KHUDA bana,
Kahin ishq sher-e-KHUDA hua,

Kahin ishq toor per deedar hai,
Kahin ishq zibah ko tayyar hai,

Kahin ishq tu hi tu hua,
KAHIN ISHQ ALLAH HU HUA...

Thursday 18 August 2011

AAJ BHI by Wasi Shah

Aaj bhi!
Aik muddat se jisay dekha nahi
Aaj bhi!
Woh zehan se utra nahi
Aaj bhi!
Woh toot kr ata hai yaad
Aaj bhi!
Mein raat-bhar sota nahi
Aaj bhi!
Sacha hun apne ishq-o-wafa mein
Aaj bhi!
Wada mera jhoota nahi
Aaj bhi!
Qaim hun apne zabt per
Aaj bhi!
Main toot kr bikhra nahi
Aaj bhi!
Main sirf uska hun magar aay "Wasi"!
Sawal ab itna hai keh
Woh Mera Hai Ya Nahi...!

Wednesday 17 August 2011

Bana Ajnabi Mera Humsafer

Bana ajnabi mera humsafer,
aur nazar bacha ke guzar gaya


Mein tha raastoun se be-khabar,
aur usay maziloun ka shaoor tha


Na thein aur koi bhi ranjishein,
Sirf aadatoun mein tazaad tha


Keh usay pasand thein shookiyan,
Aur mujhe saadgi pe naz tha...
BAARISHOUN KE MAUSUM MEIN

Baarishoun ke mausum mein
Dil ki sarzameenoun per
Gard kyun bikharti hai???
Is tarha ke mosum mein
Phool kyun nahi khiltay?
Log kyun nahi miltay?
Kyun faqat ye tanhai sath sath rehti hai?
Kyun bicharay waloun ki
Yaad sath rehti hai?
Itni taiz barish se
Dil ke aainay per se
Aks kyun nahi dhultay?
Daagh kyun nahi mit'tey?
Neend kyun nahi aati?
Baarishoun ke mosum mein
Aankh kyun barasti hai?
Ashk kyun nahi thamtay?
Subh kyun nhi hoti?
Raat kyun nahi dhalti?
Baarishoun ke mausum mein...

Wednesday 3 August 2011

Woh aik shaks

WOO EK SHAKAS JANTI HO TUM
Jiss ki ankh mein nami si thi
Jiss ka chahra malool rahta tha
Wohi ju be tujhi k sabab
......Hamasha be asooll rahta tha

Woo ek shakas janti ho tum ??
Woo jisay neend bhout pyari thi
Woo ju ek khuwab k asar mein tha
Woo ju lailam raha manzil say
Wohi ju umer bhar safer mein tha

Woo ek shakas janti ho tum??
Jiss nay khushboo ki tamana ki thi
Aur roonday gulab paye thay
Jiss nay apni hi nakiyoon k ewaz
Rafta rafta azaab paye thay

Woo ek shakas janti ho tum??
Jiss ka deen bus mohabbat tha
Jiss ka iman bus wafain thein
Woo jiss ki soch bi pershan thi
Jiss k laab per faqt duwain thein

Wohi ulji hoye bechain si batoon wala
Mohabbaton say daar gia hai kal shab
Hijer k dukh ko sahtaty sahtay
Woo shaks mar gia hai kal shab

Aoo ab lash utaoo uss ki
Woo ju terey asar mein rahta tha
Aoo ab soog manaoo uss ka
Woo ju suraj ko qamer kahta tha
Woo shaks mer gaya hai kal shab ...

Hum Haar Gaye...

.HUM HAAR GAYE. .*
Jab Apni Haddon Se Paar Gaye
...Hum Haar Gaye,
Sab Lafz Yunhi Be-Kaar Gaye
......Hum Haar Gaye,

Ik Umar Lagi Thi Jin Ko
Chunn Kar Laane Me,
Ik Pal Main Saare Yaar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Wo Beechh Main Aa Kr Doob Gaye
Aur Jeet Gaye,
Hum Aag Ka Dariya Paar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Ruswai Ki Ye Rasam Hami Se Nikli Hai
Us Nagri Me Har Baar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Kuch Khuwaab Basaarat Loat K
Hum Se Rooth Gaye,
Kuch Log Hamain Dhutkaar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Jag Jeet Gaya Ye Baat To Hai
Tasleem Hamain,
Hum Haar Gaye
Hum Haar Gaye. . .*