Monday 24 December 2012

Hazaroun Aib Hain Mujh Mein, Mujhe Maloom Hai Lekin!!
Koi Aik Shaks Aisa Hai, Jo Mujhe Anmol Kehta Hai...

Sunday 23 December 2012

Taaluqaat mein aisi rawadari bhi na ho...!
Milay, to mil lena, na milay to yaad bhi na rakhna!

Friday 21 December 2012

Bohot Pur Lutf Rishta Hai Nigahon Ka Nigahon Se...
Meri Aankhon Ki Hasrat Mai Teri Aankhon Ki Masti Hai ♥

Tuesday 18 December 2012

Nigah-E-Qais Se Dekho Hamesha HusN-E-Laila Ko

SaNam Jaisa Bhi Ho, Jis Ka Bhi Ho, Be-Misl Hota Hai,,♥

Saturday 15 December 2012

Two Line Urdu Poetry.

Hazaroun Aeib Hain Mujh Main, Mujhay Maloom Hai Lekin!
Koi Shaks Hai Aisa Jo...Mujhe Anmol Kehta Hai...

Thursday 13 December 2012

Woh Yaad Aaya Kuch Yoon...
Keh
Laut Aaye Sab Silsilay...

Thandi Hawa,
Sookhay Pattay,
Aur...,
Sard Mausam Ki
Pehli Baarish Bhi!!!

Thursday 29 November 2012

Be-Qaraar Mausam Main Yaad K Jharokoun Se...

Be-Qarar Mausam Main 
Yaad k 
Jharokoun Se
Phir Tum Hi Se Milne Ki, 
Dil Main 
Kitni Khwahish Hai

Aaj Kal November Ki 
Phir Udaas Shaamein 
Hain
Aur December k 
Aanay Main 
Waqt Thora 
Baqi Hai

In Ujaar Aankhoun Main

Zard Zard 
Raatein Hain
Is Sard Mausam Main
Toot Phoot 
Jatay Hain
Jab bhi 
Yaad Aatay Ho
Khud ko
Bhool Jatay Hain...

Wednesday 28 November 2012

Chaley Aaye ho Tum kiya Khojne Be-jaan Aankhon Main…

Kahan wo shokhiyaan pehle si, ab kuch bhi nahi baqi,
Chaley Aaye ho Tum kiya khojne be-jaan aankhon main…

Tuesday 27 November 2012

Tere Khamosh Honton Par Mohabbat GunGunati Hai...!!

Tere Khamosh Honton Par Mohabbat GunGunati Hai...!!

Tu Mera Hai, Main Teri Hoon, Bus Yehi AawaZ Aati Hai...♥

Tuesday 20 November 2012

Tumhein Haq Hai...

Aadat Uski Mujhe Achhi Lagti hai Jab Yun Hi..

Nazrein Jhuka KAr Wo Kahti Hai,Tumhein Haq Hai..♥

November PHIR UDAAS HAI,

Ajnabi si raahon mein,
Door tak nigahon mein,
Berukhi ka mausam hai,

Aaj phir nigahon ko,
Beete pal ki pyaas hai,

Phir rahi hoon darbadar,
Mojzay ki aas hai,
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAI,

Baat to kare koi,?
Saath to chale koi,?
Khamoshi ka pehra hai,?
Zakhm dil ka gehra hai,?
kisi apne ki mujhe talaash hai,..?
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAi…!

Main nay seekhay hain mohabbat se mohbbt k usool

Mein nay seekhay hain mohabbat se mohabbat kay usool
Sab say mushkil hai kisi apne ko apna krna!!

Monday 19 November 2012

Sunday 18 November 2012

Yun Bhi Karta Hai Koi Chahnay Waloun Pe Sitam...

Yoon bhi krta hai koi chahny walo pay sitam. . .
Na ishara, na kinara, na inayat, na salam. . . ! ♥

A Beautiful Poem by Jaun Elia


Rishta-e-Dil tere zamaane mein

Rasm hi kya nibahni hoti
Muskuraaye hum us se miltay waqt
Ro na paRtay agar khushi hoti?

Meri aql-o-hosh ki sab haalatein 

Tumne saanche mein junoo'n kay Dhaal deen
Kar liya tha main nay ehd-e-tark-e-ishq
Tumne phir baahein gale mein Daal deen

Sharm, dehshat, jhijhak, pareeshani

Naaz se kaam kiun nahin letin
“Aap”, “Woh”, “Ji”,”Magar” yeh sab kya hai
Tum mera naam kyun nahin letin

Hai mohabbat hayaat ki lazzat

Warna kuchh lazzat-e-hayaat nahin
Kya ijazat hai aik baat kahun
Woh…Magar khair koi baat nahin

Ehd-e-waabastagi guzaar kay main

Wajh-e-waabastagi ko bhool gaya
Yaani tum woh ho! Waaqai? Had hai!
Main to sach much sabhi ko bhool gaya!

Ajab tha us ki dildaari ka andaaz

Woh barson baad jab mujhse mila hai 
Bhala main poochhta us se to kaise
Mataa-e-jaan tumhara naam kya hai?

Saal-ha-saal aur aik lamha

Koi bhi to na in mein bal aaya
Khud hi ik dar pe main ne dastak di
Khud hi laRkha sa main nikal aaya


Hai yeh baazaar jhoot ka baazaar 
To yahi jins kiun na tolein hum
Kar kay ik doosray se ehd-e-wafa
Aao kuchh dair jhooT bolein hum

Jaun Elia

Friday 16 November 2012

Wednesday 14 November 2012

Tuesday 13 November 2012

Saturday 10 November 2012

Friday 9 November 2012

Two Line Urdu Poetry...


Itna socha hai tujhy sham-o-sehar
,
Khud pr tere hone ka guman hota hai.


..............


Toot kar bhi dharakta rehta hai,

Dil sa koi wafadaar nahi dekha.



................


Taaqat-e-fariyad bhi mujh main na baaqi reh gayi,

Zulm karna aap ko mujh per ab asaan ho geya.

Wednesday 7 November 2012

Kuch Waqt Ki Rawani Ne Humein Yun Badal Dala...

Kuch waqt ki rawani nay humein yun bdal dala!
Wafa par ab bhi qaim hain mgae Mohabbat chorr di hum nay!!!

Tuesday 6 November 2012

Monday 5 November 2012

Saturday 3 November 2012

ZID


Tumhein zid hai k mein keh dun

Mujhe zid hai k tum keh do

Mujhe tum se muhabbat hai

Kaho mujh se mohabbat ha

Nahein jantay ye dono

Mohabbat kab mohtaj hai lafzoun ki, baatoun ki

Mohabbat to humari dharkaonun ke saaz mein shamil

Sureelay geet ki manind

Mohabbat yaad ki devi

Jo tanha raat ko aksar ati hai aankhoun mein

Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk se hontoun mein

Mohabbat sandali haathoun ki nazuk larzishoun mein hai

Mohabbat soch ki gehraiyun se phhootti kushbu!

Hamesha saath rehti hai

Mohabbat aankh mein palta woh pur.asraar jazba!

Jisay ab tk nahein koi samjh paya

Na is ki koi soorat hai,

Na is ka koi paimana!

Dhakay ilfaaz mein iska bohat izhaar hota hai

"Tehe dil" se to hum dono iqrar kartay hain

Magar phir bhi najany kyun!

Tumhe zid hai k mein keh dun

Mujhe zid hai k tum keh do

MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI

KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI...

Sunday 28 October 2012

REET


Kuch Panchi Jhund Mein Urtay Hon
Aur Rasta Bhi Kuch Mushkil Ho
Kuch Door Ufaq Pe Manzil Ho
Aik Panchi Ghayal Ho Jaye
Aur Be-Dam Ho K Gir Jaye
To Rishtay, Naatay, Pyaraay Sab
Kab Us Ki Khatir Ruktay Hain???
Is Duniya Ki Ha Reet Yehi
Jo Urtay Raho To Saath Bohat…
Jo Ruk Jao To Tanha Bohat…

Saturday 20 October 2012

Two-Lined Urdu Poetry

Najanay kyun magr dekho mera dil chahta hai keh!
Wafa  ko  aag  lag  jai, mohabbat  bhaar  mein  jai!
...............................
Mere pas se guzar ke mera haal tak na poocha
Mein yeh kese maan jaun k wo door ja k roye
.............................
Aahat p kaan, dar p nazar, dil mein ishtiyaq!
Kuch aisi bekhudi hai humein intezar ki!!
............................
Tum kia jano mohabbat ke "meem" ka matlab!
Mil jai to "Moajza" na milay to "Maot"...

Monday 17 September 2012

Niyat-e-shoq bhar na jai kahin...


Niyat-e-shoq bhar na jai kahin,
Tu bhi dil se utar na jai kahin,

Aaj dekha hai tujkho dair k bad,
Aaj ka din guzar na jai kahin,

Aarzo hai k tu yahan aaiy,
Aur phir umar bhar na jai kahin,

Na mila kar udas logon se,
Husan tera bikhar na jai kahin,

Aao kuch dair ro hi len NASIR,
Phir ye darya utar na jai kahi

Sunday 16 September 2012

Yeh Namumkin Si Koshish Ha Muhabbat Soch K Karna


Kabhi kuchh soch k likhna kabhi kuchh soch k parhna
 Ye na'mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna

Kisi ka dil'ruba chehra or us pe dil'nasheen aankhain
 K jisko dekh k jeena usi k naam pe marna

Ye na'mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna
 Khayalon me bna lena kisi ka aks dheeray se

Chura k rung sapnon k kisi ki aankh me bharna
 Ye na'mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna..!!

Monday 10 September 2012

Yaad Rakhna...


Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna..

Friday 7 September 2012

Two Lined Urdu Poetry



Ab Haal Yeh Hai K Teri Yaadoun Mein Gum Hoon
Sab   Ko  Meri,  Mujhay  Teri  Pari  Rehti  Ha!!!

Jab Naaz Tha Hum Ko Qismat Par, Hans Hans K Duniya Milti Thi
Jab Basti Dil Ki Ujar Gai, Ab Log Kinaray Kinaray Lagay Hain…

Ussi Ka Shehar! Wohi Mud’dai! Wohi Munsif!!!
Mujhe Yaqeen Tha, Mera He Qasoor Niklay Ga!

Ajeeb Rishta Raha Kuch Us Shaks Se…
Na Nafrat Ki Waja Mili, Na Mohabbat Ka Sila!

Janay Kis Umer Mein Jai Gi Ye Aadat Apni
Roothna Tum Se To Oroun Se Ulajhtay Rehna

Gum Sum Aankhein, Sooni Saansein, Toot’ti Jurrti Umeedein!
Darta Hoon Kaise Katay Gi? Umr Hai, Koi Raat Nahi…

Two Line Urdu Poetry...



Ab Haal Yeh Hai K Teri Yaadoun Mein Gum Hoon
Sab   Ko  Meri,  Mujhay  Teri  Pari  Rehti  Ha!!!


Jab Naaz Tha Hum Ko Qismat Par, Hans Hans K Duniya Milti Thi
Jab Basti Dil Ki Ujar Gai, Ab Log Kinaray Kinaray Lagay Hain…


Ussi Ka Shehar! Wohi Mud’dai! Wohi Munsif!!!
Mujhe Yaqeen Tha, Mera He Qasoor Niklay Ga!


Ajeeb Rishta Raha Kuch Us Shaks Se…
Na Nafrat Ki Waja Mili, Na Mohabbat Ka Sila!


Janay Kis Umer Mein Jai Gi Ye Aadat Apni
Roothna Tum Se To Oroun Se Ulajhtay Rehna


Gum Sum Aankhein, Sooni Saansein, Toot’ti Jurrti Umeedein!
Darta Hoon Kaise Katay Gi? Umr Hai, Koi Raat Nahi…

Friday 17 August 2012

Dard Jeet Jata Hai



Chahaton k mosam ki
Ik ajab kahani hai,

Hont hanste rehte hain,
"Ankhain bheeg jati hain"

Bheegti nigahon me,
Khawab jalty bujhty hain,

Dard k is safar me kuch,
Morr aisay aatay hain,

Khawab toot jate hain,
"saath choot jate hain"

Kirchiyan uthane me,
Waqt beet jata hai,
aur

''Dard jeet jata hai"..!

Tuesday 7 August 2012

Ab Ke Agar Wo Aaya, Usi Waqt Se Agar
Hoga To Wo Rubaru, Par Wo Baat Nahin Hogi

Ban Jayega Sama Phirse, Kuch Dair Main Magar
Us Sama Banne Main, Wo Baat Nahin Hogi

Karoonga Phir Main Shikwe, Wo Aaye To Zara
Par Samjhane Main Uske, Wo Baat Nahin Hogi

Shuru Hoga Silsila, Jahan Se Tha Khatam
Par Is Silisle Main, Wo Baat Nahin Hogi

Sunayega Wo Kisse, Usi Musarrat Se Magar
Mere Sunne Main, Wo Baat Nahin Hogi

Waqt Guzar Jayega Yoonhi, Baaton Baaton Main
Magar Waqt Guzarne Main, Wo Baat Nahin Hogi

Shayad Karoon Main Yaad, Is Waqt Ko Kabhi
Magar Us Yaad Main, Wo Baat Nahin Hog

Monday 16 July 2012

Mohabbat Aisa Naghma Hai...


Mohabbat aisa naghma hai,,
zara b jhol ho lay mein......
to surr qaim nahin hota !!


mohabbat asa shoala ha,,
hawa jesi b chalti ho..........
kabhi madham nahin hota !!


mohabbat asa rishta ha,,,,,,,,,,,,,
k jis mein bandhney walon k......
dilon mein gham nahin hota !!


mohabbat asa poda ha,,,,,,
jo tab b sabz rehta ha.......
k jab mosam nahin rehta !!


mohabbat asa rasta ha,,
agar payron mein larzish ho
to ye mehram nahin hota !!


mohabbat asa darya ha,,
k barish rooth b jay........
to pani kam nahin hota !!

Thursday 12 July 2012

Raat Ke Kisi Lamhay Jab...


Raat ke kisi lamhay jab
tumhari yaad aye


To batao mujh ko main
kia karun?


Tumhe meethi nindiya se
jaga doon?


Ya tumharay seenay pe
sar rakh doon?


Tumhari gehri band
aankhoun ko kholoun


Aur un mein sama jaun?


Ya tumhe bina aankhein
jhapkaye dekhta rahun?


Keh kahein ye khwab
toot na jaye


Ke tumhara sath 
chhoot na jaye...

Saturday 7 July 2012

Bhula baithay...


ham unheN vo hameN bhulaa baiThe
do guneh-gaar zahar khaa baiThe


haal-e-Gham kah ke Gham baRhaa baiThe
...teer maare the teer khaa baiThe


aandhioN jaao ab karo aaraam
ham Khud apnaa diyaa bujhaa baiThe


jee to halkaa hu’aa magar yaaroN
ro ke lutf-e-Gham gaNvaa baiThe


be-sahaaroN kaa hauslaa hii kyaa
ghar meN ghabraaye, dar pe aa baiThe


uTh ke ek be-vafaa ne de dii jaan
rah gaye saare baa-vafaa baiThe


jab se bicchRe vo, muskuraaye na ham
sabne chheRaa to lab hilaa baiThe


hashr kaa din abhii hai duur “Suhail”
aap kyuN zahidoN meN jaa baiThe

Friday 6 July 2012

Mujhe Zindagi Tumhe Bnana Hai...


Saath tumhara dena hai,
Aur sath tumhara pana hai


Patheroun ke is shehar mein
Aik kaanch ka ghar bnana hai


Aasmanoun pe jo rishta bna
Usay duniya mein nibhana hai


Aik naam tumhara likhna hai
Aik-naam humein bun jana hai


Kuch baatein tumse karni hain
Kuch dil ka haal sunana hai


Chupke se jo mangi hain
Un duaoun mein tumko pana hai


Tum rooth ke mujh se mat jao!
Mujhe saath tumhara pana hai


Tum laut ke wapis ajao!
Mujhe "Zindagi" tumhay banana hai...

Sunday 1 July 2012

Itni Doori Theek Nahi...


So Qissy Hein Milty Jhulty...
Ik Majboori Theek Nahi...
Jo Kehna Hai Khul K Keh De,
Baat Adhuri Theek Nahi...
Koi Heela,Koi Bahana,
Koi Munasib Raah Nikaal..
Mujse Aisy Milty Rehna,
Ghair Zarori Theek Nahi...
Roz Mohabbat Hojati Hai,
Chalty Phirty Logo Se "Faiz"
Geet Adhory,Khuwaab Adhory,
Ye Mazdoori Theek Nahi...
Hum Mehfil Mein Aaye yoUn 
Woh Peechey Ja Kar Beth Gae..
Hum Se Doori aChi Hai Par 
Itni Doori Theek Nahi..


Sunday 24 June 2012

Tum Pyar Kro Gay Kitnay Mein???

Har shay ka sauda hota ha
Har cheez bikao hoti ha
Har fard yahan per tajir ha
Har waqt tajarat hoti ha
Tum aap he apnay daam kaho!
Chhup kay nahi sar-e-aam kaho!
Kya lo gay apni yaari ka?
Kia lo gay tum dildaari ka?
Ghum'khwar bano gay kitnay mein?
Tum pyar kro gay kitnay mein?
Sab jazbay mere naam kro,
Hamdum tum apna daam kro
Pr daam chukanay ki khatir,
Hum apna daftar kholein to,
Hum apni jaib tatolain to
Bs pyar milay ga thora sa,
Aazaar milay ga thora sa
Ye sikkay yahan kab chaltay hain?
Kia pyar milay ga thora sa?
Ye duniya be'aitibari ki,
Ye arz ha hr beopaari ki
Chal chhor tamana jazboun ki...
Har shay ka sauda hota ha
Har cheez bikao hoti ha...

Friday 22 June 2012

Har Shay Ka Sauda Hota Ha (Tum Pyar Krogay Kitnay Mein)

Har shay ka sauda hota ha
Har cheez bikao hoti ha
Har fard yahan per tajir ha
Har waqt tajarat hoti ha

Tum aap he apnay daam kaho!
Chhup kay nahi sar-e-aam kaho!
Kya lo gay apni yaari ka?
Kia lo gay tum dildaari ka?
Ghum'khwar bano gay kitnay mein?
Tum pyar kro gay kitnay mein?
Sab jazbay mere naam kro,
Hamdum tum apna daam kro

Pr daam chukanay ki khatir,
Hum apna daftar kholein to,
Hum apni jaib tatolain to
Bs pyar milay ga thora sa,
Aazaar milay ga thora sa
Ye sikkay yahan kab chaltay hain?
Kia pyar milay ga thora sa?

Ye duniya be'aitibari ki,
Ye arz ha hr beopaari ki
Chal chhor tamana jazboun ki...
Har shay ka sauda hota ha
Har cheez bikao hoti ha...

Tuesday 12 June 2012

Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay

Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay
 
 
Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay.

Saturday 2 June 2012

Na Ruk Sakay Ga Kabhi Silsila Mohabbat Ka

Na Ruk Sakay Ga Kabhi Silsila Mohabbat Ka
Khuda Ka Khalq Hai Raabta Mohabbat Ka

Thay Mere Chehray Pe Bhee Khaal-o-Khad Mohabbat Ke
Ke Mere Saamnay Tha Aaina Mohabbat Ka

Jahaan Ruki Mein, Wohi Manzil-e-Mohabbat Thi
Chali Tou Saath Chala Raasta Mohabbat Ka

Jahaan Andheray Nazar Aaye Nafraton Ke Mujhe
Jalaa Dia Hai Waheen Per Diaa Mohabbat Ka

Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat
So Ham Ne Bhee Wahan Sajda Kia Mohabbat Ka

Hamain Khabar Hai Ya Phir Hai Khabar Mohabbat Ko
Jo Qarz Ham Ne Kia Hai Adaa Mohabbat Ka

Wafaa Ka Badlaa Wafa Hee Hai Shahida Tasneem
Hai Pur-Khuloos Mohabbat Silaa Mohabbat Ka

Wednesday 30 May 2012

Jo Chala Gya Woh Chala Gaya

Jo apna daaman smait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya


Jis nay murr k daikha na meri soo bus ik simt ko chal para
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya


Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya


Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya


Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya


Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya


Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya


Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya