Friday 23 December 2011

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do...

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!


Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!


Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!


Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,


Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!


Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

Thursday 22 December 2011

Mila karo...

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo

Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo

Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya

Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo...

Wednesday 21 December 2011

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do

Friday 16 December 2011

Udaas Kyun Ho???

Gulaab Ruto'on Mai Haseen Chehro'on
Hamay Batao Udaas Kyun Ho...??

Dilo Par Beeti Hui Kahani
Sab Sunao Udaas Kyun Ho...??
...

Jo Ranjish-E-Dil Pal Rahi Hain
Munafiqat Mai Jo Dhal Rahi Hain
Bhula Ke Shikway Mita Ke Doori
Galay Lagao Udaas Kyun Ho...??

Kitaab-E-Dil Ke Tamaam Safho'on Par
Hamnay Likkha Lafz-E-Mohabbat
Hamay Hamari Wafa Ke Agay
Saza Sunao Udaas Kyun Ho...??

Fareb Khana Bhi Mashghala Hai
Fareb Dena Bhi Mashghala Hai
To Dil Ke Lutnay Par Kaisa Matam
Khushi Manao Udaas Kyun Ho..???

Thursday 15 December 2011

MUJHE JAANEIN TERE NASB SE...

mujhe janein teray nasb se,
mujhe esa koi khitaab do!

parhnay se jo na khatam ho,
mujhe esa koi nisaab do!

jo utray mujh mein rooh tk!!!
mujhe ese kuch asbaab do!

jo meri seerat ko nikhar de,
woh apne pyar ka husn.o.jmal do!

phir na uthay zehan me koi swal,
mujhe esa koi jwab do!

na utray mere dil se tera ishq,
dam-e-marg tk apne ishq ka shabab do!

shab-o-roz guzrein teri yaad mein,
mujhe aashiqi ke adaab do!

jo ndar kr de mujhe zmanay se,
mujhe esa koi inqelaab do!!!

Friday 9 December 2011

Woh Chahnay Waloun Ko Mukhatib Nahi Karta

Wo chahne walon ko mukhatib nahi karta
 Aur tark e taa’luq ki mein wazahat nahi karta,


Wo apni jafaon pe nadim nahi hota
 Mein apni wafaon ki tijarat nahi karta,


Khushbu kisi tash’heer ki mohtaaj nahi hoti
 Sacha hon magar apni waqalat nahi karta,


Ehsas ki sooli pe latak jata hon aksar
 Mein jabr-e-musalsal ki shikayat nahi karta,


Mein azmat e insa’an ka qayal to hoon
                      "Mohsin"
 Lekin kabhi bandon ki ibadat nahi karta!

by mohsin naqvi

Wednesday 7 December 2011

SAMBHALAY RAKHNA...

Apni baatoun mein mere

naam ke hawalay rakhna

Mujh se bichray ho to

khud ko sambhalay rakhna

Log puchein gay kiyun

pareshan ho tum?

Kuch nigahoun se kehna

zubaan pe taalay rakhna

Na khonay dena mere

beetay lamhoun ko

Meri yaadoun ko badey

pyar se sambhalay rakhna...

Sunday 4 December 2011

EK BAAT KAHOUN GER SUNTI HO, TUM MUJH KO ACHI LAGTI HO...

Aik Baat Kahun Ger Sunti Ho
Tum Mujh Ko Achhi Lagti Ho
Kuch Chup Chup Si
...
Kuch Chanchal Si.
Kuch Paagal Paagal Lagti Ho.
Hein Chaahne Waalay Aur Bohat
Per Tum Mein Hai Ek Baat Alag.
Tum Apni Apni Lagti Ho..
Ek Baat Kahun Ger Sunti Ho ?
Yeh Baat Baat Pe Kho Jaana ,
Yoon Kehte Kehte Ruk Jaana ,
Kya Baat Hai Hum Se Keh Daalo.
Aik Baat Kahun Ger Sunti Ho ?
Tum Mujh Ko Achhi Lagti Ho

Friday 2 December 2011

MOHABBAT...

December ke mahinay ka,
woh shaid pehla din tha,
 baras guzrey ke main ne mohabbat,
 lafz likha tha,
 kisi kagaz k tukray per,
 achanik yaad aya ha,
 kisi se baat karni thi,
 use kehna tha JAAN E JAAN,
 mujhay tumse Mohabbat ha,
 magr me keh ni paya.
 wo khagaz aaj tk lipta para hy,
 dhool me lekin,
 kisi ko de nahi paya,
 dobara chah k b main MUHABBAT kr nahi paya......!!

Thursday 1 December 2011

MOHABBAT KI HA

Tere ikhlas se
"MOHABBAT" ki hai,
Tere "EHSAS" se "MOHABBAT" ki hai,


Tu mere pas nahi,
...phir bhi teri yaad se "MOHABBAT" ki hai,


Kabhi tuney bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un "LAMHAAT" se "MOHABBAT" ki hai,


Jin mai ho sirf teri or meri baatain
Maine us "HAQIQAT" se "MOHABBAT" ki hai,


Tujhse milna ab to khuwab sa lagta hai,
Maine tere "INTAZAR"se "MOHABBAT"ki hai.... !!!!!

Tuesday 29 November 2011

MEIN DIL SE BAATEIN KARTA THA...

Main Dil Se Baatein Krta
Tha
Dil Mujh Se Baatein krta
Tha,

Main Uski Sunta Rehta
Tha
Woh Meri Sunta Rehta
Tha,

Hum Dono Apni Apni
Baatein
Ek Doojey Se Kehtey
Thay,

Aur Ek Dosray Ki Baatoun
Par
Hum Dheroun Hanstay
Rehtay Thay,

Main Dil Ka Dost Hi Acha
Tha
Dil Mera Dost He Acha
Tha

Woh Mere Dard Ko Sehta
Tha
Mein Uske Dard Ko Sehta
Tha,

Phir "DIL" Ne Mujh se Chaal
Chali
Wo Teri Rah Pe Chal
Nikla,

Ab Mein Bhi Rota Rehta
Hoon
Aur Dil Bhi Rota Rehta
Hai...

Saturday 26 November 2011

Mohabbat Jaag Jati Hai

Suno Ayee Chand Se Larki
Abhi Tum Keh Rahi Thi Na
Tumhen Muj Say Mohabbat Ho Nahi Sakti

Chalo Mana K Ye Sach Hai
Mager Ayee Chand Se Larki
Mujhe Itna Bata Do Tum
K Jab Mosam Badalte Hain
Guloon Main Rang Bharte Hain

To phir Kiyun Muztareb Ho Kar
Akeley'Pan Se Ghabra Kar

Hawa Ko Raaz Deti Ho..?
Mujhe Awaz Deti Ho....?

Suno Ayee Chand See Larki
Tumhare Samne Koi Mera Jab Naam Leta Hai
To Phir Kiyun Chounk Jati Ho...?

Chalo Mana Tum'hain Mujh say Mohabbat Ho Nahi Sakti
Magar Itna Samajh Lo Tum
Jahan Chahat Nahi Hoti
Wahan Nafrat K Hone Ka Koi Emkaaan Nahi Hota

Mera Dawaa Hai Chahat Men
Jahan Nafrat Nahi Hoti
Wahan Aksar Ye Dekha Hai

Ager Kuch Waqt Kat Jayee
Samay Ke Dhool Chat Jayee

To Weh'shat Bhaag Jati Hai
Mohabbat Jaag Jati Hai....!

Friday 25 November 2011

MERAY DIL MERAY MUSAFIR!!!

Meray dil meray musafir
Huva phir se hukm sadir
Keh watan-badr hon hum tum
Dein gali gali sadaien
Krein rukh nagr nagr ka
Keh suragh koi paien
Kisi yar e nama e br ka
Har ik ajnabi se puchein
Jo pta tha apne ghar ka
Sir kooey nashna yaan
Humein din se raat krna
Kabhi is se baat  krna
Kabhi us se baat krna
Tumhein kia kahun keh kia ha
Shab e gham buri blla ha
Humein yeh bhi tha ghaneemat
Jo koi shumar hota
Humein kia bura tha marna
Agar ek bar hota!

Wednesday 23 November 2011

Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko

Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko
Tamam Umar Samne Bithaaon Tumko


 

Mere Zakhmon Ka Haal Poocho Ager Jaan-e-Jaan
...To Ek Ek Zakhm Ki Tafseel Sunaaon Tumko


Mout Ki Neend Se B Gehri Ek Neend Hoti Hai
Tere Baazuon Ka Ho Takya To Dikhaaon Tumko


Yehi DUA Hai K Wo Waqt Aaye Ek Baar Phir
Tum Jo Rootho To Hath Jor Kr Manaaon Tumko


Hr Shakhs Main Mujhe Ek Raqeeb Nazar Aata Hai
Bol Ae Mere ‘HUM NAWA’ Kis Kis Ki Nazar Se Bachaaon Tum ko...

Tuesday 22 November 2011

Nigaah-e-shoq Say Hum Ne Tumhain Ek Bar Dekha Tha...


Nigaah-E-Shoq Say Hum Nay Tumhain Ek Bar Dekha Tha,
 Koi Jazba Tha Pehli Baar Jisay Be-Daar Dekha Tha,

Wo Jis K Hont Per Her Dam Saji Muskan Rehti Thi,
 Na Janay Kyon Usay Main Nay Bara Bezaar Dekha Tha,

Roz-O-Shab Badalnay Main Bhala Kya Dair Lagti Ha,
 Jo Takht-O-Taaj Rakhtay Thay Unhain La-Chaar Dekha Tha,

Hum Apnay Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paye
 Usi Nay Waar Ker Dala Jisay Gham-Khwaar Dekha Tha….!

Monday 21 November 2011

JAHAN PER TUM NAHI HOTAY...

Wahan na phool kiltay hain, na he mosam bdalta hai
Wahan to kuch nahi hota Jahan Per Tum Nahi Hotay...


Yahan waisay to har soghaat aasani se milti hai
Per mera dil nahi lagta Jahan Per Tum Nahi Hotay


Yahan to log sadiyuon ko bhi lamhoun mein bdaltay hain
Mera aik pal nahi kat'ta Jahan Per Tum Nahi Hotay!


Sabab ronay ka woh puchain to bus itna keh dena
Mujhe hansna nahi ata Jahan Per Tum Nahi Hotay...

Saturday 19 November 2011

Hum Yaad Tumhein To Kartay Hain...

Ho raat akeli pechlay pehar

Aur chaand aangan mein aa jai!

Tum chaand ki manind tanha ho

Yeh baat tumhein tarpa jai!

Kuch khwab sja ke palkoun pe

Tum chand se baatein kr lena

Hum yaad tumhay to kartay hain

Tum yaad humein bhi kr lena

Kuch baat na ho jab esay he

Num aankh tumhari ho jai

Tum kahein per kartay ho

Dil aur kahein per kho jaye

Jazbaat ke esay aalam mein

Muskaan laboun per bhar lena

"Hum yaad tumhe to kartay hain
Tum yaad humein bhi kr lena..."

Wednesday 16 November 2011

Kis Ke Liye...

"~" Zindagi main tu nahin to ye aarzu kis k liye..
ye mohabbat kis k liye ye justuju kis k liye..

main tujhy dekha karon tu mjhy dekha karya..
ye nahin to phir jan-e-jana rubaru kis k liye..

har sajawat jism-o-jaan ki tere liye..
tu agar milta nahin to ye rang-o-bu kis k liye..

dilbar k tere charche ja baja maine sune..
tu agar mera nahin to ye chahat kis k liye..

har ghazal maine kahi ae jan-e-jaan tere liye ..
tu agar sunta nahin to guftugo kis k liye.."~"

Thursday 3 November 2011

Zara Pehle Bta Dena..

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ki rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k es dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churranay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe Mohsin bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina,,,,

Tuesday 23 August 2011

Ishq

Kahin ishq ki dekhi ibtida,
Kahin ishq ki dekhi intiha,

Kahin ishq sooli pe charh gaya,
Kahin ishq ka nezy pe sar gaya,

Kahin ishq sajdy mein gir gaya,
Kahin ishq sajdy se phir gaya,

Kahin ishq dars-e-wafa bana,
Kahin ishq husn-e-ada bana,

Kahin ishq ne sanp se daswa dia,
Kahin ishq ne namaz qaza kia,

Kahin ishq saif-e-KHUDA bana,
Kahin ishq sher-e-KHUDA hua,

Kahin ishq toor per deedar hai,
Kahin ishq zibah ko tayyar hai,

Kahin ishq tu hi tu hua,
KAHIN ISHQ ALLAH HU HUA...

Thursday 18 August 2011

AAJ BHI by Wasi Shah

Aaj bhi!
Aik muddat se jisay dekha nahi
Aaj bhi!
Woh zehan se utra nahi
Aaj bhi!
Woh toot kr ata hai yaad
Aaj bhi!
Mein raat-bhar sota nahi
Aaj bhi!
Sacha hun apne ishq-o-wafa mein
Aaj bhi!
Wada mera jhoota nahi
Aaj bhi!
Qaim hun apne zabt per
Aaj bhi!
Main toot kr bikhra nahi
Aaj bhi!
Main sirf uska hun magar aay "Wasi"!
Sawal ab itna hai keh
Woh Mera Hai Ya Nahi...!

Wednesday 17 August 2011

Bana Ajnabi Mera Humsafer

Bana ajnabi mera humsafer,
aur nazar bacha ke guzar gaya


Mein tha raastoun se be-khabar,
aur usay maziloun ka shaoor tha


Na thein aur koi bhi ranjishein,
Sirf aadatoun mein tazaad tha


Keh usay pasand thein shookiyan,
Aur mujhe saadgi pe naz tha...
BAARISHOUN KE MAUSUM MEIN

Baarishoun ke mausum mein
Dil ki sarzameenoun per
Gard kyun bikharti hai???
Is tarha ke mosum mein
Phool kyun nahi khiltay?
Log kyun nahi miltay?
Kyun faqat ye tanhai sath sath rehti hai?
Kyun bicharay waloun ki
Yaad sath rehti hai?
Itni taiz barish se
Dil ke aainay per se
Aks kyun nahi dhultay?
Daagh kyun nahi mit'tey?
Neend kyun nahi aati?
Baarishoun ke mosum mein
Aankh kyun barasti hai?
Ashk kyun nahi thamtay?
Subh kyun nhi hoti?
Raat kyun nahi dhalti?
Baarishoun ke mausum mein...

Wednesday 3 August 2011

Woh aik shaks

WOO EK SHAKAS JANTI HO TUM
Jiss ki ankh mein nami si thi
Jiss ka chahra malool rahta tha
Wohi ju be tujhi k sabab
......Hamasha be asooll rahta tha

Woo ek shakas janti ho tum ??
Woo jisay neend bhout pyari thi
Woo ju ek khuwab k asar mein tha
Woo ju lailam raha manzil say
Wohi ju umer bhar safer mein tha

Woo ek shakas janti ho tum??
Jiss nay khushboo ki tamana ki thi
Aur roonday gulab paye thay
Jiss nay apni hi nakiyoon k ewaz
Rafta rafta azaab paye thay

Woo ek shakas janti ho tum??
Jiss ka deen bus mohabbat tha
Jiss ka iman bus wafain thein
Woo jiss ki soch bi pershan thi
Jiss k laab per faqt duwain thein

Wohi ulji hoye bechain si batoon wala
Mohabbaton say daar gia hai kal shab
Hijer k dukh ko sahtaty sahtay
Woo shaks mar gia hai kal shab

Aoo ab lash utaoo uss ki
Woo ju terey asar mein rahta tha
Aoo ab soog manaoo uss ka
Woo ju suraj ko qamer kahta tha
Woo shaks mer gaya hai kal shab ...

Hum Haar Gaye...

.HUM HAAR GAYE. .*
Jab Apni Haddon Se Paar Gaye
...Hum Haar Gaye,
Sab Lafz Yunhi Be-Kaar Gaye
......Hum Haar Gaye,

Ik Umar Lagi Thi Jin Ko
Chunn Kar Laane Me,
Ik Pal Main Saare Yaar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Wo Beechh Main Aa Kr Doob Gaye
Aur Jeet Gaye,
Hum Aag Ka Dariya Paar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Ruswai Ki Ye Rasam Hami Se Nikli Hai
Us Nagri Me Har Baar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Kuch Khuwaab Basaarat Loat K
Hum Se Rooth Gaye,
Kuch Log Hamain Dhutkaar Gaye
...Hum Haar Gaye,

Jag Jeet Gaya Ye Baat To Hai
Tasleem Hamain,
Hum Haar Gaye
Hum Haar Gaye. . .*

Saturday 2 July 2011

Wo chahne walon ko mukhatib nahi karta
 Aur tark e taa’luq ki mein wazahat nahi karta,


Wo apni jafaon pe nadim nahi hota
 Mein apni wafaon ki tijarat nahi karta,


Khushbu kisi tash’heer ki mohtaaj nahi hoti
 Sacha hon magar apni waqalat nahi karta,


Ehsas ki sooli pe latak jata hon aksar
 Mein jabr-e-musalsal ki shikayat nahi karta,


Mein azmat e insa’an ka qayal to hoon
                      "Mohsin"
 Lekin kabhi bandon ki ibadat nahi karta!

by mohsin naqvi

Tuesday 19 April 2011

ZID



Tumhein zid hai k mein keh dun

Mujhe zid hai k tum keh do

Mujhe tum se muhabbat hai

Kaho mujh se mohabbat ha

Nahein jantay ye dono

Mohabbat kab mohtaj hai lafzoun ki, baatoun ki

Mohabbat to humari dharkaonun ke saaz mein shamil

Sureelay geet ki manind

Mohabbat yaad ki devi

Jo tanha raat ko aksar ati hai aankhoun mein

Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk se hontoun mein

Mohabbat sandali haathoun ki nazuk larzishoun mein hai

Mohabbat soch ki gehraiyun se phhootti kushbu!

Hamesha saath rehti hai

Mohabbat aankh mein palta woh pur.asraar jazba!

Jisay ab tk nahein koi samjh paya

Na is ki koi soorat hai,

Na is ka koi paimana!

Dhakay ilfaaz mein iska bohat izhaar hota hai

"Tehe dil" se to hum dono iqrar kartay hain

Magar phir bhi najany kyun!

Tumhe zid hai k mein keh dun

Mujhe zid hai k tum keh do

MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI

KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI...